Friday, 6 February 2015

{{{Walden ka olad pe haq}}}

As salamu allaiqum
Olad par walden ki fazl wa ahsan
se kisi ko be inkar nahi ho sakta .
walden hi hamare wajod me ana ka
sabab ha . or is par in ke azeem
huqoq hain , inho ne bachpan me
hamare parwarish ki .hamain rahat
wa ayeshai ke liya hamesha
takleefen othai . hamari need ke
liya khod apni need qurban ki.
Ishe tarah baap bhi tumare rozi
roti ke liya humare bachpan se le
kar bare hone tak mehnat karta
raha , or hamare tabiyat or
rahnomahiya karta raha , jbke hum
apne nafa nooksan ka shohor nahi
rakhte the , is liya Allah talah ne
olad ko walden k sath husn salook
or shokar gozari ka hukum deya ha
Allah talah quran pak main
farmate ha
ﺍﻭﺭ ﮨﻢ ﻧﮯ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﮐﻮ ﺍﺱ ﮐﮯ ﻣﺎﮞ
ﺑﺎﭖ ﮐﮯ ﻣﺘﻌﻠﻖ ﺗﺎﮐﯿﺪ ﮐﯽ ﮨﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ
ﻣﺎﮞ ﻧﮯ ﺿﻌﻒ ﭘﺮ ﺿﻌﻒ ﺍﭨﮭﺎ ﮐﺮ ﺍﺳﮯ
ﭘﯿﭧ ﻣﯿﮟ ﺭﮐﮭﺎ ﺍﻭﺭ ﺩﻭ ﺑﺮﺱ ﻣﯿﮟ ﺍﺱ
ﮐﺎ ﺩﻭﺩﮪ ﭼﮭﮍﺍﻧﺎ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻣﯿﺮﯼ ﺍﻭﺭ
ﺍﭘﻨﮯ ﻣﺎﮞ ﺑﺎﭖ ﮐﯽ ﺷﮑﺮ ﮔﺰﺍﺭﯼ ﮐﺮﮮ
ﻣﯿﺮﯼ ﮨﯽ ﻃﺮﻑ ﻟﻮﭦ ﮐﺮ ﺁﻧﺎ ﮨﮯ
Surah luqman chaptor no 31 verse
no 14
Hum par hamare walden ka yeah
haq ha ke hum un ke sath hosan
salook Karen . qoli or amli tor pe .
mali tor pe be unki madad kareen .
agar unko kohi cheez chaheya ho to
us se mo na more . unka kehna
mana . unse narmi ke sath goftago
kareen . un k sath bohat he adab
se paish ahe . unki shan main
ghustaki na kareen , borape ya
beemari ya kamzoore ke waqt unse
tandil na ho or na he unki janib se
bojh mehsos kareen k abb to yeah
hum per bojh ban gahe . q k bohat
se log ahse sorate main edhi home
main apna walden ko dal deta ha
or yeah bohat he sharam ki baat
ha . baad mein hum bhi unhi ke
muqam par honge . jis tarah woh
hamare mah baap ha . agar
zindage rahi to hum bhi sis taraha
apni olad ke samne borape ko
pouchay ga . jis taraha ajj who
hamare khidmat ke zaroorate mand
hai ishe taraha hum bhi apni olad
ki khidmat ke zaroorate mand
honge ,
Allah talah ka irshad ha
Agar who hamare samne budhape
ko pouch jahe in dono me se ek ya
who dono , toh un se uff bhi na
kehna or unko jhidakna bhi nahi or
un se adab ke sath baat cheet
karna or kehte rehna ke aye mere
parwardigar in par reham farma
jaise ke unho ne mujhe bachpan
me pala
Dua main yaad rakheya ga
waldainkehuqooq.blogspot.in/?m=1

No comments:

Post a Comment